Thursday, October 7, 2010

Wo sanwli si ladki

Wo sanwli si ladki jab bhi piya se batiyati hai
Anjaney wo khud mein hee simat-ti si jaati hai

Kabhi masoom, kabhi sharmati kabhi naraz ho jati hai
hoton ka chabana Kabhi to kabhi itrana Piyajee ko bhi behkati hai

Faqaat guftagoo se chain kab aaye hai usey
Ek khata karney ki bekarari mein machalti jati hai

Tumhey pane se pehle hee kho naa de is baat se ghabrati hai
Bas 1 Khuda-saz ke bahon mein khud ko mehfuz pati hai

Khudaya kis kadar karegi daayam wo ladki
samna-e sajish jo takdir ne kar dali hai

Pinhaan rakhti hai wo kissa-e-mohabbat
Ke darti hai kahi ho na jaye koi jag behaiyee

1 comment:

  1. Dhunthala sa dikhta he hume, wo din jab mile na hume wo ek bar,

    dur hoke bhi lagta tah hume nahi he bich me koi darmiya,

    ye Sach he ya jooth wo kabhi hum samaj na us waqt,

    Samje tab jab mila hume unki shadi ki dawat me jane ka nyota....

    ReplyDelete