Thursday, October 7, 2010

Partoye khur se hai tai us yakta ka ana

Teri maasom nigahey karti hai ye ishara,
Tu bhi chahe hai kisise mohabbat ka nazrana.

Naummeed na hona e parios
Tere liye bhi munhassir hai khuda-parast ek banjara

Koi rajdan tere liye bhi aayega
Karega tere Dil-e-birane mein ujala

Tu intazar to kar sehar honey tak
Partoye khur se hai tai us yakta ka ana

Guzre pal ke kabr pe kya payegi
Baki hai abhi aane wale kal ka afsana

Jo chala gaya uska matam kya karna
Zindagi rukti nahi kisi kafir se hoke ruswa

Wafurey asq-ne kiya hai kab zillat ko nehan
Karle tu ab is madha-e-matam se tauba

Ishq mein rakh tu dam itna
Ek teri aah nikle aur tamam ho chor ke janewala

1 comment:

  1. Matam me kabhi shehnahi nahi bajti,

    Sukhe me kabhi barish nahi girti,

    Likh do ye labz apni kitab me ki,

    ab is dil me kisi aur ke liye jagah nahi ban sakti.

    ReplyDelete