Thursday, October 7, 2010

SAMJHONA

Ye Bekarari, Ye bekhudi ka aalam.
Dasti hai ye Tanhai, teri judai ka hai gam,
Aa jaa ke intazar hua mushkil
Ya khuda itni to na thi kabhi mein besharam
Tere pyaar ko tarasti hun pal pal
Tere aagosh mein milega mujhe naya janam
Anjaani 1 Pyaas lagi hai ab toh har pal
Chahu tere labo ka samandar daayam
Kis Bebaki se karun bayaan wo armaan
armaan jo chaltey hai saath har kadam
waqt ki sajish se dolta hai mann
hai ab toh dagmag se mere kadam
Meri khwahishon ki duniyan
tujh se hee suru aur tujh par khatm
maangi hai dua maine chahat se hoke majboor
tujh tak jaa pahuchey meri ye nazm
zahir ho tujh par mere dil ka muamelaah
meri tadap sunkar hongi teri bhi aankhey nam
Tufaan sa ho meri zindagi mein tu dakhil
Aur le jaaye mujhe apney hee sang

1 comment:

  1. Khwab humne bhi wohi dekha jo aap ne dekha,

    wo kismat ka jalva tha, jo hume ek kar na saka,

    aap kyu rote ho, wohi puranai bate yad karke,

    Aankhe humari bhi he num, use pochnewala koi dhudh na sake.

    ReplyDelete