Thursday, October 7, 2010

Begaani ye khushi

Begaani ye khushi
Jitna bhago utna peecha karwati ye khushi
Pal bhar ko haath lag ke meelo dur bhag jati ye khushi
Zindagi ko matlab deti, aur bemaayna bhi banati khushi
Anchahee ek justazoo jagati khushi
Anbujhi ek pyaas chor jati khushi
Mil ke bhi naa mil pati khushi

Alfaazo mein naa samati khushi
Aankho se chalak jati khushi
Kabhi jahir kabhi ojhal
Tere jaisa saath nibhati khushi
Kitne chole badal badal kar
Jiya mera dhadkati khushi
Gumnami ke sehra mein tera nishaan banati khushi
Gumsum gumsum mein rehti hun
Kaash tu mil jati khushi
Begaani ye khushi

1 comment:

  1. khus hote he hum jab, milti hume har manchahi chiz,
    khus hote hum jab, hum jitte he jab ek aur khusi,

    khus hote he hum jab, milte hume koi humsa hi,

    khus hote he hum jab, kabhi yad aaye guzri bat wohi,

    khusi se hum sab ka nata, koi use na samje to kaise mile use khusi.

    ReplyDelete