Thursday, October 7, 2010

TALAB

Maut ki arzoo mein jeetey hain hum
Ke madha-e-jindgi nahi manzoor
kaaNte ho kabr pe baad marne ke mre
Ke jalwa-e-gul nahi manzoor







1. dauDe hai lahu is raftaar se mere ragoN meiN
Shor se iske alam tamam hua wakif mere wajood se
[alam tamam=entire world, wajood=existence]

2. Zindagi bemani si lagti hai hizr mein tere
Saanse chalti hai besaal-e-Khuda-saaz ki arzoo kiye hue
[hizr=separation, besaal-e-Khuda-saaz=meeting with God’s angel]

3. Tamanna uski, justajoo uski, arzoo bhi uski
   Ke Jis dil-fareb se ham dil laga baithey

4. paD gaye hai kis pech-o-tab mein ham
yaKHuda! Sukhanwar apna, raqeeb nikla
[pech-o-tab= difficult to know what to do, Sukhanwar= lover, raqeeb=enemy]

5.Meri dashna-e-mizhgaaN mein wo asar kahan
Khalish toh hoti katl-e-aam gar nahi hota
[dashna-e-mizhgaaN=dagger of eyelied, Khaleesh=wound]

6. Dil mein ek dariya-e-ashq hai jisse,
   Shab-e-tanhai mein hum daaman bhigoya karte hai
[Shab-e-tanhai= lonely nights]

7. Hua muddat jee bhar ke ashq bahaye hue
    Be-iKHtiyar se jazbaat lagte haiN
[Be-iKHtiyar=powerless, jazbaat = emotions]

8. Hua muddat jee bhar ke ashq bahaye hue
    Ab toh mere jazbaat bhi mujhsey gustaKHi kartey haiN

9. Kabhi de ees rusiyah ko inayat ki ek nazar aisi
Ke katl se mere alaam ko karaar aaye

10.tera khumar mere sar se utadta nahi hai
aur 1 tu bewwafa meri kadr karta nahi hai



3 comments:

  1. Socha na tha kabhi aise bhi hume paigam milenge,

    humari wafa ka saboot bhi hum aaj sambhal nahi sake,

    feka he unhone ek tir nishane (Dil or heart) par,

    unhe kya pata ki nishana (Dil or heart) to hum pehle hi kisi aur ko de chuke.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. Dil mein ek dariya-e-ashq hai jisme,
    Shab-e-tanhai mein hum daaman bhigoya karte hain

    hui muddat jee bhar ke ashq bahate hue..
    yunhi jazbaaton ko katron mein piroya karte hain

    ReplyDelete