Thursday, October 7, 2010

ek gunah-e-bekhudi mujhe har pal chahiye

wo puchtey hai kya mujhe mohabbat hai
wo puchtey hai kya mujhe mohabbat hai
mein kehti hun, ek gunah-e-bekhudi mujhe har pal chahiye

Begaani ye khushi

Begaani ye khushi
Jitna bhago utna peecha karwati ye khushi
Pal bhar ko haath lag ke meelo dur bhag jati ye khushi
Zindagi ko matlab deti, aur bemaayna bhi banati khushi
Anchahee ek justazoo jagati khushi
Anbujhi ek pyaas chor jati khushi
Mil ke bhi naa mil pati khushi

Alfaazo mein naa samati khushi
Aankho se chalak jati khushi
Kabhi jahir kabhi ojhal
Tere jaisa saath nibhati khushi
Kitne chole badal badal kar
Jiya mera dhadkati khushi
Gumnami ke sehra mein tera nishaan banati khushi
Gumsum gumsum mein rehti hun
Kaash tu mil jati khushi
Begaani ye khushi

JUGNOO

Jugnuo ke sang mein bhi jalti rahi
Raat gumsum si mujhe takti rahi
Sawera hoga ye pata tha
Par uski ummeed ab mit si gayi
Bharosa tha tu hai yahi kahi
Par ab lagta hai tera wajood hee nahi
Naa dikhaya karo hume ye khwab gulabi
Ishq bas ek alfaaz hai ruhani
Diye ki lau si hai ye zindagani
Bujhi bujhi si kapkapati
Kisi se naa keh payenge hum ye kahani
Mere liye tu anjaana tere liye mein anjaani
Ummeed ki kaliya daman chuda rahi
Hausla-o-himmat bhi ab jati rahi
Jugnuo ke sang mein bhi jalti rahi
Raat gumsum si mujhe takti rahi

SAMJHONA

Ye Bekarari, Ye bekhudi ka aalam.
Dasti hai ye Tanhai, teri judai ka hai gam,
Aa jaa ke intazar hua mushkil
Ya khuda itni to na thi kabhi mein besharam
Tere pyaar ko tarasti hun pal pal
Tere aagosh mein milega mujhe naya janam
Anjaani 1 Pyaas lagi hai ab toh har pal
Chahu tere labo ka samandar daayam
Kis Bebaki se karun bayaan wo armaan
armaan jo chaltey hai saath har kadam
waqt ki sajish se dolta hai mann
hai ab toh dagmag se mere kadam
Meri khwahishon ki duniyan
tujh se hee suru aur tujh par khatm
maangi hai dua maine chahat se hoke majboor
tujh tak jaa pahuchey meri ye nazm
zahir ho tujh par mere dil ka muamelaah
meri tadap sunkar hongi teri bhi aankhey nam
Tufaan sa ho meri zindagi mein tu dakhil
Aur le jaaye mujhe apney hee sang

Wo sanwli si ladki

Wo sanwli si ladki jab bhi piya se batiyati hai
Anjaney wo khud mein hee simat-ti si jaati hai

Kabhi masoom, kabhi sharmati kabhi naraz ho jati hai
hoton ka chabana Kabhi to kabhi itrana Piyajee ko bhi behkati hai

Faqaat guftagoo se chain kab aaye hai usey
Ek khata karney ki bekarari mein machalti jati hai

Tumhey pane se pehle hee kho naa de is baat se ghabrati hai
Bas 1 Khuda-saz ke bahon mein khud ko mehfuz pati hai

Khudaya kis kadar karegi daayam wo ladki
samna-e sajish jo takdir ne kar dali hai

Pinhaan rakhti hai wo kissa-e-mohabbat
Ke darti hai kahi ho na jaye koi jag behaiyee

Partoye khur se hai tai us yakta ka ana

Teri maasom nigahey karti hai ye ishara,
Tu bhi chahe hai kisise mohabbat ka nazrana.

Naummeed na hona e parios
Tere liye bhi munhassir hai khuda-parast ek banjara

Koi rajdan tere liye bhi aayega
Karega tere Dil-e-birane mein ujala

Tu intazar to kar sehar honey tak
Partoye khur se hai tai us yakta ka ana

Guzre pal ke kabr pe kya payegi
Baki hai abhi aane wale kal ka afsana

Jo chala gaya uska matam kya karna
Zindagi rukti nahi kisi kafir se hoke ruswa

Wafurey asq-ne kiya hai kab zillat ko nehan
Karle tu ab is madha-e-matam se tauba

Ishq mein rakh tu dam itna
Ek teri aah nikle aur tamam ho chor ke janewala

TALAB

Maut ki arzoo mein jeetey hain hum
Ke madha-e-jindgi nahi manzoor
kaaNte ho kabr pe baad marne ke mre
Ke jalwa-e-gul nahi manzoor







1. dauDe hai lahu is raftaar se mere ragoN meiN
Shor se iske alam tamam hua wakif mere wajood se
[alam tamam=entire world, wajood=existence]

2. Zindagi bemani si lagti hai hizr mein tere
Saanse chalti hai besaal-e-Khuda-saaz ki arzoo kiye hue
[hizr=separation, besaal-e-Khuda-saaz=meeting with God’s angel]

3. Tamanna uski, justajoo uski, arzoo bhi uski
   Ke Jis dil-fareb se ham dil laga baithey

4. paD gaye hai kis pech-o-tab mein ham
yaKHuda! Sukhanwar apna, raqeeb nikla
[pech-o-tab= difficult to know what to do, Sukhanwar= lover, raqeeb=enemy]

5.Meri dashna-e-mizhgaaN mein wo asar kahan
Khalish toh hoti katl-e-aam gar nahi hota
[dashna-e-mizhgaaN=dagger of eyelied, Khaleesh=wound]

6. Dil mein ek dariya-e-ashq hai jisse,
   Shab-e-tanhai mein hum daaman bhigoya karte hai
[Shab-e-tanhai= lonely nights]

7. Hua muddat jee bhar ke ashq bahaye hue
    Be-iKHtiyar se jazbaat lagte haiN
[Be-iKHtiyar=powerless, jazbaat = emotions]

8. Hua muddat jee bhar ke ashq bahaye hue
    Ab toh mere jazbaat bhi mujhsey gustaKHi kartey haiN

9. Kabhi de ees rusiyah ko inayat ki ek nazar aisi
Ke katl se mere alaam ko karaar aaye

10.tera khumar mere sar se utadta nahi hai
aur 1 tu bewwafa meri kadr karta nahi hai



tere labo ki chaashni ka ek katra bhi kyun mujh tak nahi aata!


Jaane kya khoya hai maine, yaad nahi aata

seene mein dafan sa kuch hai nazar nahi aata

mein banchtee rehti hun na jaane kiskey saath ko
wo sukhanwar(lover) kaun hai, kuch samajh nahi aata

Fakht raat bhar ki guftagoo se mujhko chain nahin
tere labo ki chaashni ka ek katra bhi kyun mujh tak nahi aata!